Sunday, April 17, 2016

Kuch Pagal Kutto ne ek Real Kutte (Dog) ko Jinda jlaa diya video goes viral on Social Media

Hello ji
Aaj muge bahoot gussa aaya jab mere ek dost ne muge ek video send kiya whatsapp pe.
Mene vo video download kiya toh dekha ki kuch bacche jo 14 se 20 years umar(age) ke honge ek kutte ko jo jindaa h usse aag(fire) laga dete h.

In A Brutal Act These People Set A Dog On Fire And Filmed The Entire Incident #HumanityIsDead
dog fire video by some mental boys
Dog fire video screen shot by some mental boys

Sach me....
Loog etne beeraham ho gaye h ab ki jra si popularity ke liye ek jaan jo boll bhi nahi sakta usse jaraa se maze ke liye aag ke havaale kar dete h or takleef dene se nahi hichkichaate h.
Kutta (Dog) aisa jaanvar h jo shyaad ensaan ke liye sabse barose mand hota h. Or kutta hi kyo jaanvar koi bhi ho uss me jaan tph hoti hi h. Shyad iss kutte ko bhi en insaan ke besh me kutto me galti se ensaaniyat dikhi hogi issliye enke pass aa gya or een pagal kutto ne ye genooni harkat kar di. Bechara kutta iss video me apni jaan bachaane ke liye idhar udhar baag rha h par in kutto ko uss par billkul bhi dyaa nahi aayi ultaa ye loog hans rahe h. Sach me samaj nahi aata ki loog etnee beraham kaise ho gaye h or fir uun isis walo ko ye loog beraham bata te h ye video me jo loog h vo bhi isis walo se kahi piche nahi h.

Ye video pta nahi kaha ka h par me cahata hu ki in pagal kutto ko jo iss video me iss maasum kutte ko jalaane ke liye sajaa jaroor hone cahiye. Or uss sjaa ka ek kaam ye bhi ho ki enki hath ki sirf ek ungli ko jaalaa ke enhee vo jal ne ke dard ka ahsaas karvana cahiye jiss se inhee samaj aa skee ki enhone kya kar diya h.

Dosto me aap sab ko btaa du jal ne ka dard duniya me sabse buraaa dard hota h isski koi seema nahi hoti or ye bahoot hi aasahneey hota h. Iss me jal ne wala agar galti se bach jaata h toh vo khud dard ke maare marne ki duvaa karta h.

Meri bas aap logo se yahi gujaarish h jaanvaro par bahoot dyaa rakhni cahiye. Enmee bhi vahi jaan hoti h jo aap me or mug me h. Enhee bhi vahi dard hota h jo aapko or muge hotaa h.

Kabhi kisi martee ya beemaar jaanvaar ki seva karke usse bacha ke dekho bahoot kushi mileegi vo kushi aisi kushi hogi jo aap laakho rupyee karch karke bhi nahi paa sakte ho.

Or een pagal kutto ke liye me bas yahi kahna cahunga ki ye video agar aapko pta h ki kaha ka h tu inkee khilaaf jaroor action leena hoga. Yaa aap yanha comment karke btaa dejeeye.

Or dosto plz sorry me ynhaa video nahi daal sakta kyoki me nahi cahata ki aaka bhi dimaag kharaab ho jaaye meri tarah issliye agar aapko fir bhi video me enki darindgi dekhni hi h toh youtube par search kar lijiye.
Thanks for read.

Thursday, April 14, 2016

Android mobile hanging problems solution in hindi only for indian users

Hello to all

Me aaj aap ke baarey me nahi usske baare me baat karne wala hu jo yaa toh aapke haath me h ya aapki pocket me pada h. Hmmm sahi sochaa "mobile, smart phone" ke baarey me.
Aaj apne india me sabke pass smartphone ho gaye h jin me sabse jayda android platform wale h.
Dosto Android google ka software h jo smartphone ko or smarter banata h. Issliye har saal Android ka new version aata rahta h. Par india walo ke maane, mera matlab apni soch ye h ki Android bahoot hang hota h kya karen. Or jaydatar loog issme mobile ki hi kami nikaal te h or mobile hi change kar lete h. 
android mobile hang hone se kaise bachaye poori trick hindi me
android mobile hang hone se kaise bachaye poori trick hindi me

Dosto meri iss post ko dhyan se padna me nahi cahata ki aap har ek do saal me apni mehnat ki gaadi kamai ko aisa mobile kharedne me karch karo jiss se aap umeed karo ki ye hang nahi hoga.

Kabhi bhi mobile hang nahi hota usske andar ka software hang hota h or vo bhi issliye kyoki vo etnee saari files run kar rha hota h ki usski ram over load ho jaati h. Jiss se mobile garam ho jaata h or battery teji khatam hone lagti h. Fir hum saara dosh mobile or mobile banane wali company ko dete h.
how slove android mobile hanging problem hindi
how slove android mobile hanging problem hindi

Android mobile (smartphone) hang kyo hota h?

Isska javaab vaise toh me aapko abhi bta chukaa hu par ab aage batata hu. Android ek aisa OS ( operating system) h jo background me kaafi chize run karwata rahta h jiss me se kuch jaroori hoti h or kuch nahi or har koi app jo hum apne Android mobile me install karte h vo bhi hamesha background me run karti rahti h.

issliye hamesha iss baat ka dhyan rakhe ki sirf wahi apps install karen jo bahoot jaruri ho.

kuch loog sochte h kuch apps ya sowtware jo play store par free mill jaate h unse android mobile ko hang hone se bachaya ja sakta h par ye billkul galat h vo apps or software sirf apne kamayi karte h aapke smartphone AD daal daal ke. jiss se aapka kimti DATA bhi BACKGROUND me Use hota rahata h. ajar aisi apps use full hi hoti toh aap socho mobile compny khud bhi toh vo app daal ke hame mobile de sakti thi.

Toh Abse Dhyan rakhiyega Agar aapko apna Android Mobile ko Hang Hone Se Bachana h toh uss me koi bhi apps jo phone ki battery ya hang hone se bacha ne ki baat karti h usse install mat karna.

agar karna hi h toh ek app me aapko bta deta hu jisska name h Greenify ye app with root or without root Dono tariko se kaam karti h.

Greenify se android phone ko Hang Hone se ya Android ki bettery ko Kaise Bachaya ja sakta h


1. isse instaal karke har vo app select karen jo aap background me band rakhna cahate h.
2. fir un saari apps ke + button se Add kar leve. (Dhyan Rakhe agar aap Aap ne iss list me whatsapp add kar liya toh uss ke notificition bhi nahi aayenge issliye whatsapp ko add na karen)
3. Greenify app ki setting me jaaker Add shortcut on home screen par add karen.
4. all done
5. ab jab bhi saari app ek click me band karni ho toh home screen waale shortcut par click karke kar sakte ho.




Dosto agar aapko apne android mobile ke baaren me or bhi kuch problem h toh aap yanha comment karke muge puch sakte h me aap sabke comment ka javaab dunga.





Tuesday, April 12, 2016

How to feed and care a baby parrot - mithu (ttota) ke bacche ko khana kaise khilaaye

Ghar mai koi bhi pets pallna sab ko accha lagta h. Mere bhi kuch pets h jinme One Dog name is nikky, four fishes, or ab me kuch dino se ek parrot pallne ke baarey me soch rha tha. Pahle socha shop se le lu par fir mene ek mere gaav ke dost ki help se baby parrot lee aaya jo. Jo ki Desi parrot ka child(baccha) tha. Ess baby parrot ki age 1 month se jayda nahi h.
Isse leete hi sabse badi problem ye aayi ki esse rakhu kaise or kya khilaau, kaha rakhu kaise isski care karun.

Or jab muge meri in saari problems ka solutions mill gaye toh socha ki kyo na isse aap sab logo ke sath bhi share karun.

How to feed and care of new born baby parrot on home.

Kuch baaten pahle hi batana cahta hu desi parrot or vedeshi (foreign) african parrot alag hote h or inki care me bhi antar ho sakta h. Par me jo bhi  btaa raha hu vo dono ke liye sahi h.


How to feed a new born baby parrot?

(Dosto me information aap ke liye hindi english dono me share kr rha hu)

baby Parrot Food Ready For Feeding
baby Parrot Food Ready For Feeding



Baby parrot bahoot najuk hote h issliye inke food par special dhyan rakhna padta h
Baby parrot are very soft soo we need special focus on there food.

Dosto enko khane me na toh puraa taral diya ja sakta h or na hi bilkul sakt. 
Issliye 100gm genhu100 gm daal , or 100gm rice. In sab ko mila ke bilkul baarik mix kar levee or fir 100ml pani leke uss mixture ko uss pani me daal ke aisa taral bana ye jo na toh bahoot patla ho na bahoot gaada. Fir usse ek hour ke liye rakh de ab ye food aapke baby parrot ko khilaaye jaane ke liye tayaar h.

You need to take 100gm wheet,  100 chane ki daal, 100 rice and mix them together very thin.
After then take 100ml water in any boul and put some mixture in the boul and make mixture like not soo hard or not soo soft. And leave it for one hour and then it is ready for feed baby parrot.

Baby parrot food with baby parrot or injection
Baby parrot food with baby parrot or injection

Ab aapko ek unused injection series cahiye

Now you need a unused injection series.

Ab apne baby parrot ko apne samne bitha ke photo me dikhaye tarike se halke hatho se pakad ke injection ki help se pest ko use khilaaye. Dhyan rakhe injection ko baby parrot ke mooh me jayda na daale or na hi baby parrot ke gardan ko jayda majbuti se pakde. Ek do baar me baby parrot or aap dono hi samaj jaaenge ki kaise feed kar a h. Usse din me 3 baar khana khilaaye. Jisski matra samay ke sath badate jaaye.

Now put the baby parrot front on you and fill injection with food pest. Now Caught baby parrot head from behind like picture  Not soo hard.  Then feed baby with help with injection. Keep in mind not push injection soo much in baby parrot mouth.  After three or four time you and baby parrot full trend in this feeding prosess.
feeding to baby parrot by injection
feeding to baby parrot by injection


How to care a new born baby parrot?


1.  Baby parrot ko hamesha touch karne se pahle or baad me apne hatho ko saaf karen.
2. Baby parrot ke cage ko hamesha saaf or clean rakhe jisske floor me ek kapda bicha kar rakhe.
3.  Hamesha aise jagah rakhe jo na toh jayda garam(hot) hona jayda thanda(cool).
4.  Ghar me agar kutta(dog) or bill(cat) h toh uss se door rakhe. Or agar ho sake toh apni mojudgi me unko parichay karvaate rahe jiss se ki kabhi unme takraav  na ho.

How teach a new born baby parrot for speaks ?

Baby parrot ko bollna sikhana kam mushkil hota h bajay big parrot ke
Isske liye koi special trick nahi h. Bas aapko karna ye h ki jab bhi aap uss se milee toh vahi word bole jo aap usse sikhaana cahtee ho.jaise  hello parrot,  good morning,  goodbye etc.
Bollna kitni jaldi sikhega ye sab parrot par depend karta h ki vo kaise mahool me h or kitni jaldi word catch karta h.
Dosto agar aapko or bhi kuch puch na h toh aap comment kr sakte h me jaroor javaab dunga.