Monday, May 9, 2016

frustrated with parents what i should do- माता पिता से नही बनती क्या करै

Hello
Ye post me raat ke 1.40 am par likh rha hu.
Aap ye post padh rahe h matlab ya toh aap mere regular reader ho yaa fir abhi abhi aapka bhi apne mata pitaa (mom-dad) ya family members se kisi baat par bahas ya anban hui h.
Hmm ho gya mera b kisi baat par jagda aaj gharwalo se baat koi badi nahi par kya karen. Generation ka fark jo h. Unki b galti nahi meri b nahi.
Man me toh bahoot kuch aata h ye sab hone par.
Par fir samaj na padtaa h ki kahi na kahi hum b galat hote h haalanki har baar nahi par kabhi toh hote hi h or rahi baat aise choti moti ladai ki jo ghar me ya mata peeta parents se hoti rahti h sabke ghar me hoti h.
Mera ye post likhne ka ye maksad nahi h ki me aapko gyaan baat rha hu. Gyaani sab h aap b h par muge pta nahi kyo aisa lagta h ki jab dukhi aadmi dukhi se millta h toh usska dard kam ho jaata h.
Or family me ye jagde, ladaiyaa or anban chalti hi rahti h jnhaa tk ho in par dhyaan naa hi de toh jaydaa accha hota h. Ghar me family members ya parents ko ultaa javaab dene par baat aage hi badti h jab tak ho sake apni jabaan ko band hi rakhe. Kyoki jab tak ghar gaadi chalti h jaise chalti h chalana cahiye haar nahi maan ni cahiye. Galat kadam bhi nahi uthana cahiye.
Plz agar aap ko koi b problem h toh aap comment karen me deer sabeer jaroor javaab dunga.
Search result for google
Ghar meri kisi se nahi banti kya karun?
Meri gharwalo se mata peeta se ladai hoti rahti h kya karna cahiye?
Family problem hindi solution

0 comments:

Post a Comment